Midnight

Bechaini sar mera khaati hai roz
Sukoon dhoonda
Nahi mila kho die hosh
Aaj mere naam pe uchaal loge keechar
Kal ko uchaalne se daroge dost

Kal ko batane se daroge sab ko ke
Mere is bande se taluq kharab
Kal ko bulandiya choo lunga itni
Kuch bolne se pehle bhi sochenge aap

Kitna bolu ke mein
Jee nahi paa raha
Tu khayal rakh
Thora haal pooch liya kar
Kitna sochu tere
Baare ab mein or
Meri bas hogai jaan
Mera toot raha hai sabar

Meri zindagi me
Log to hai kaafi
Par wo log nahi hai
Wo jin pe i would rely
Meri zindagi me
Dost to hai kaafi
Par wo dost hee nahi
Hai jis ko sab kuch batae

Kabhi kisi ne bhi nahi
Poocha mera haal
Kara ek hee sawaal ke
Bas gaana kab aa raha hai
Aleem jee raha hai ya
Mar raha hai kya fark parta hai yaar
Koi jaan'na hee nahi chah raha hai

Ek arsay se khamosh
Hu bolne ka man hai
Par sunne waale
Rehte door mujh se
Kal ko koi maar
De anjaane me khud ko to
Chaukna mat hum
Hee majboor karte

Ajeeb si soch me dooba jaa raha
Kya karu samjh nahi aata na

Samjh nahi aata
Koi aa ke samjha de
Itne pyaar ke bawajood
Bhi wo aa ke kyun na de?
Ek arsay se mila rahe
Sab han me han meri
Mujhe chahiye koi aa
Ke meri galtiya gina de

Yaar maanta hu tumhari
Meri suna to karo
Itna bura bhi nahi
Hu itna bura na karo
Mere aas paas koi
Bacha nahi baat karne layak
Tum sab aas paas
Waalo se mil ke sulah to karo

I'm just sad these days
Koi milne na ae
Mujh se dil na lagae
Why you act these days?
Mere saamne tum
Bol sakti ho jo man me ae

I swear me nahi judge
Karta khud aisa hu
Me bhi tanha teri tarah
Khud me khush betha hu
Me tha school ke dino me
Had se ziada badtameez
Phir koi dil na dukha
Du is liye chup rehta hu

Dil hai dukhae bare dil hai dukhae
Maafi mili hai ke nahi
Mujhe pata bhi nahi
Apne neeche waalo
Se mein tabhee jaan kar milta hu
Khushiyan baatne kee
Dhoondta koi waja bhi nahi

Jitna behtar kar lu khud
Ko saale koste rahenge
Kuch nahi hoga tujh
Se rok rok ke tokte rahenge
Abe duniya ka sab se
Acha kaam bhi kar lega
Us ke baad bhi ye bura
Bhala bolte rahenge

Jitna behtar kar lu khud
Ko tab bhi hate to milega hee
Na mumkin hai karna
Yaha sab ko satisfy
Insaan dhokhebaaz
Kabhi idhar kabhi udhar
Is se behtar hai ke
Karu apne rab ko satisfy

Gir ke sajde me mein
Jaagu apno ke liye
Un ke sapno ke liye
Ziada kehta nahi mein
Wo jaanta hai khoob
Me is duniya se tang

Bechaini sar
Mera khaati hai roz
Sukoon dhoonda nahi
Mila kho die hosh
Aaj mere naam pe
Uchaal loge keechar
Kal ko uchaalne se daroge dost

Kal ko batane se daroge sab ko ke
Mere is bande se taluq kharab
Kal ko bulandiya choo lunga itni
Kuch bolne se pehle bhi sochenge aap

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Aleemrk

Autres artistes de Asiatic music