Kyun
Gar hai Khuda toh fikr kyun
Nahi khuda to zikr kyun
Sochne laga hoon main
Poochne laga hoon main
Zikr kya hai kahin
Ye Geeta Quaraan main
Dharam ye hai sahi
Dharam wo sahi nahi
Soch tu hona hai kya
Wo kehde humse agar
Wo dharam usne likha nahi
Wo dharam usne dekha nahi
Naam swarg ka suna hai
Swarg kabhi dekha nahi
Kabhi kabhi pata chalega
Wo swarg kahin hai ke nahi
Neak kaam karle tu
Milega swarg naseeb main
Toh bin kuch kiye hua
Kaise mila hai swarg use
Us rab ko pucha agar
Dharam kya hota bata
Wo Kaunsa rang pasand karega
Kesari ya hara
Insaan sant mahatma ke
Paas jata hai kyun
Uss khuda ko dhoondne
Ya apne kasth bhoolne
Us khuda ne hai kaha
Aakar uska koi nahi
Toh phir ye bhi batade
Dhoondoon kahan use
Ab dhoondoon kahan use
Main dhoondoon kahan tujhe
Gar hai Khuda toh fikr kyun
Nahi khuda to zikr kyun