Raabta (feat. Joi Barua)

Amitabh Bhattacharya / Pritam

Kehte hain Khuda ne is jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisike liye
Tera milna hai us Rab ka ishara maano
Mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye

Kehte hain Khuda ne is jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisike liye
Tera milna hai us Rab ka ishara maano
Mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye

Kuchh to hai tujhse raabta
Kuchh to hai tujhse raabta
Kaise hum jaanein humein kya pata
Kuchh to hai tujhse raabta

Tu humsafar hai, phir kya fikar hai
Jeene ki wajah hi yahi marna isi ke liye

Kehte hain Khuda ne is jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisike liye

Meharbani jaate jaate mujhpe kar gaya
Ghuzarta sa lamha ek daman bhar gaya
Tere nazara mila, roshan sitara mila
Taqdeer ki kashtiyon ko kinara mila

Sadiyon se tarse hain jaisi zindagi ke liye
Teri sohbat mein duayein hain usi ke liye
Tere milna hai us rab ka ishara maano
Mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye

Kuchh to hai tujhse raabta
Kuchh to hai tujhse raabta
Kaise hum jaanein humein kya pata
Kuchh to hai tujhse raabta

Tu humsafar hai, phir kya fikar hai
Jeene ki wajah hi yahi marna isi ke liye
Kehte hain khuda ne is jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya har kisike liye

Curiosités sur la chanson Raabta (feat. Joi Barua) de Arijit Singh

Qui a composé la chanson “Raabta (feat. Joi Barua)” de Arijit Singh?
La chanson “Raabta (feat. Joi Barua)” de Arijit Singh a été composée par Amitabh Bhattacharya et Pritam.

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Arijit Singh

Autres artistes de Film score