Junoon Hai

Calibre, Aman Singh

Galat hai

Lafz bhari hain
Shakhsiyat sahi
Kar raha main dilse
Phir galat kya sahi

Na

Rog baitha dimag me
Likh raha main din or raat mein
Sunsan rehti ye shamein
Khuli ankho se dekhu ye khuab main
Phir kiska gham hai mujhko
Khuda mujhko rukh do
Apni karni tune hai karli
Ab parinam ko hi bhugto
Aage badhnese pehle soche 4 baar
Kuch karnese pehle tere sar pe udhar
Safalta na mili kaam aaya na jugaad
Sab gunge hain baithe behra sansaar
Phir sochta ki raat biti baat biti
Duniya ke sath phir sanp seedhi
Hathme na pasa phir bhi chal meri
Kismat soyi aisi ki jaagti ni
Par iss khelme khiladi main aakhri ni
Aakhri aakhri

Ladte ladte bhidte bhidte
Girte girte aaya aage
Kyuki junoon sar pe
Sar pe
Sar pe
Sar pe
Junoon sar pe

Gehri soch me
Khoye hosh me
Rehta behka piye bina madhosh main
Josh josh me
Likhne hun baitha jo
Katle aam phir kagazo pe
Yaad aati mujhe phir bachpan ki jo baatein
Kahaniya sunke jo hum khush ho jaate
Na aram hai ab na kuch or
Paiso ke piche hi lagti doud
Ek hath jeab me ek kahin or
Darr lagta na unse jinki zada chaud
Bandiyo ki baate mujhe ab karti bore
I'm sure
Mere jaisa hoga ek nahi
Vaade mujhe lagte hain fake sabhi
Dabke bhi rehta tha main pehle kabhi
Bars ko hu karta main spit abhi
Hip hop ka pata hai to baat tu kar
Varna views ko tu daal apne kahin or
Ja kahin
Ladte ladte bhidte bhidte
Girte girte aaya aage
Kyuki junoon sar pe
Sar pe
Sar pe
Sar pe
Junoon sar pe

Ladte ladte bhidte bhidte
Girte girte aaya aage
Kyuki junoon sar pe
Sar pe
Sar pe
Sar pe
Junoon

Mere sapne hain bade huye kuye mein
Gham ko na udata dhuyen mein
Dil hota hai hadse bhari jab bhi
Likhne main lagta shayarai phir
Diss viss karke na banna mahan
Eminem se na hogi meri jaan pehchan
Jo bhi lage pade hain chele chapate
Unke muh pe bas dharna chante
Har koi yaha bana baitha influencer
Chahe dekha na ho life me bhi ghanta seh kar
Har teesra ab yaha pe rapper
Sab hi hip hop
Phir sab hi hain rapper
Dilli ki baat ho ya mumbai se jaipur
Khilli udate ye hip hop ki hain bas
Real walo ko na denge ye izzat
Nakli walo ko ye peshe hai khidmat
Jaane bhi dedu main gaane banake phir
Akal se sone walo ko uthadu main
Nakli asli ka main farak batadu
Phir uda du apno pe paisa kama main
Na chahiye views bas janta ho pass
Jhuthe logo ko na dalu main ghas
Dukh or sukh ka choli daman ka sath
Humi hain kal or humi hain aaj
Humi hain kal humi hain aaj
Bas humi hain kal or humi hain aaj
Calibre

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Calibre

Autres artistes de Rock'n'roll