Meri zindagi [Orginal]
Hai barbadi ki yeh raah Jo mujhe hai dikhi na jane mein inme kyu firta gaya thoda thoda sa inme yu khota gaya aur jab aya mujhe hosh na jane kis raah pe tha mein bus chalta gaya yuhi chalta gaya na pata kisi manzil ka nahi tha koi aur thoda thoda akelapan or thoda sa tha khauf dil chahta tha ki mil jai mujhe maut but kya krta ab kyuki yahi tak tho road Zara Dara sehma sa baitha usi raah pe wapis Jane ki bhi mil ni wajah thi samajh na aya kyu mili ye saja thi bus dikh rahi mujhe ek raah thi
Sapne tho dekhe par dekhi na aukaat thi mujhko tho lag raha hai ki meri zindagi barbad thi
paiso se mujhko hi alag sa pyaar tha sapno mein bhi mere bus vyapar tha dil mein kuch or zuba pe kuch or tha na jane kyu ab tho jeena bhi mujhe lag raha bekar tha