Baatein
[Intro]
"Hello."
[Verse: GRAVITY (as Raj and Rehana)]
Hey Rehana, kaisi hai tu? Mai yaha thik hu
Bache kaise padh rahe hai?
Kya sach mai thik tu?
"Yaha sab thik hai par log kaafi neech hai
Mushkil hai rehna aise logon ke beech."
Woh jagah badnaam hai, main itna garib kyu?
Unn logon pe hai mujhko bharosa hi nahi, sunn
Mujhe agle mahine mil raha hai bonus
Diamond ka hai contract, hai yeh nahi bogus
Paise ayenge woh naye ghar ke liye hoge kaafi
Sabra rakhna aage hai yeh bas do mahine baaki
"Kaafi achi baat hai yeh mai bohot khush hu."
Kuch nahi chahiye mujhe agar hai khush tu
Itne saalon se hai tune rakha hamesha saath
Kitne toofano se hai bach nikle thaame haath
"Karti pyaar itna tumse isliye toh saath hu
Rahenge hamesha saath, jaise bhi haalat ho."
Kharidenge ek ghar jo ho aalishan
Mehel sa woh ho, uss mehel ki Rani aap
Aas paas bageeche, nazdeek hi taalab
Aur jo nazaara hoga uska na hoga jawaab
Har hafte hum ghoomenge aur picnic pe jayenge
Ek dooje ke saath hoge hum jaise ho saaye se
"Intezaar mujhko kaafi, sach hogi yeh baat
Par maaf karna hai waqt kam hamare paas, Raj."
"Aapka samay khatam ho chuka hai."
**call ended**
[Verse: GRAVITY]
Hai yeh baatein ankahi, hai yeh baatein sab fisool
Hai yeh baatein sab ajeeb, hai yeh baatein sach se door
Raj Singh, umra 25, shadishudha naujawan
Karta pyaar Rehana Shah se, woh bhi usse karti pyaar
Dono samaaj ko chhodke rehna chahte the ek saath
Raj ki thhi ek biwi aur judwa bacho ka parivar
Aur Rehana ke liye Raj hi tha uska sansaar
Anjaam, woh uske bache ki banne wale thi maa
Khabar yeh pad gayi samaaj ke logon ke kaano mai
Aur maar diya Rehana ko unhi haivano ne
Samaaj ki izzat kisi jaan se bhi badhkar hai?
Inn logon ke paas toh dil nahi kankad hai
Raj ab tha pagal khaane mai
Uski biwi Rehana bankar usse karti baatein hai
Uski aatma ko mile shanti meri hai dua
Samaj ke inn jhoothe rakshako ko meri baddua
Par hum bhi iss samaj mai, toh kya mai zimmedaar hu?
Ajeeb yeh sawaal hai, na jaanu kya jawaab du
Na jaanu kya jawaab du, na jaanu kya jawaab du
[Outro]
**Gunshot**
**Instrumental**