Jaan e Jaa
Khwabon mein tumhi ho
Khayalon mein tumhi ho
Meri saanson mein tum ho
Dil ki dhadkan mein tum ho
Tu hi hai ibaadat
Tu hi hai meri jannat
Tu hi mera khuda hai
Tu hi meri har duwa hai
Dil se Dil mile hai
Phir kyon dooriyaan hai
Kyon yeh faaslen hai
Kyon yeh majbooriyaan hai
Duniya ki deewaaren
Kyon hamein rokati hai
Rasmon ki yeh janjeerein
Kyon hamein tokati hai
Kaheta hai deewaana dil
Manzil to hogi hi haasil
Ho o jaan-e-jaa jaan-e-jaa
Tum hi ho mere sanam
Jaan-e-jaa jaan-e-jaa
Tum hi mere jaaneman
Jaan-e-jaa jaan-e-jaa
Kaheta hai yeh mera mann
Ik din ik din hoga apna milan
Chanda aasmaan ke
Jab bhi dekhun mai tujhko
Yaad dilbar ki aaye
Tu bataa dena usko
Chhotisi dillagi ka
Bann hi gaya fasaanaa
Hai dard-e-dil ki chahat
Ishq yeh soofiyaanaa
Kaheta hai deewaana dil
Manzil to hogi hi haasil
Ho o jaan-e-jaa jaan-e-jaa
Tum hi ho mere sanam
Jaan-e-jaa jaan-e-jaa
Tum hi mere jaaneman
Jaan-e-jaa jaan-e-jaa
Kaheta hai yeh mera mann
Ik din ik din hoga apna milan