Talking Spirit
yha baat bikti hai,
ye aankhein ab khayalon ke sath milti hai,
neend mein mai rehta subah shaam,
sapno mai mujhe meri maa dikhti hai
voh ilaaj ka tha daur,
voh beemar dikhti hai,
voh umeed ka tha daur,
voh pukaar sunti hai,
mere bagal mai voh leti,
mujhe pyaar krti hai,
tbhi sapno mai aake mujhse baat krti hai
usse pta mai akela aur akela hi hu kaafi,
mere kuch hai chahne jo ki dete hai shabashi,
baaki maazi jo bhi bn gye mana tha jinko dost unko ghanta nahi farak padta mai jiya ya mara nahi
iss duniya mai sukh bas maut ke paar hai,
gaane ki ye baatein mere zakhmo pe vaar hai,
kal tk jisko btata tha mai baatein,
ab bchi bs photo uski ,
photo pe bhi haar hai
kese jau paar mai, kese jau haar mai,
uski saari khwahisho ka mere sarr pe bhaar hai,
usse chahiye tha bada ghar kuch car hai,
pehle bhi hum 4 the aur abhi bhi hum 4 hai
dost bolne ko yha dost toh hazaar hai,
kaam pdne pe toh bs bethe 3-4 hai,
yha insaan aur insaan mai daraar kyu
upar hai shikaari hum sab ka shikaar hai