Ujjwala Bharat Ujjwala
Jo Maa parivaar ghar sansaar chalaati hai
Chota badaa sabko bhar pet khilaati hai
Hans ke mushkilein, dhuan, dukh seh jaati hai,
Khush rakhti sabko apna dard chupaati hai
Ek gareeb Maa ke bete ne thaan liya
Bhaarat Maa ke sachche sapoot ne thaan liya
Dukh ka bojh utaara -lagaa ujjwala naara
Chamkaa un dhundli aankhon mein ujlaa- ujlaa
Tim timaa tim timaa taara- vaatavaran sudhaara
Ghar-ghar dar-dar nayi urja -josh naya
Svastha ho Bharat sapna ab saakar hua
Ujjwala Bharat Ujjwala
Ujjwala Bharat Ujjwala
Vardaan naye Bharat ka
Sammaan naye Bharat ka
Ujjwala Bharat Ujjwala
Ujjwala Bharat Ujjwala
Jahan mele rele jhund chauk galiyaaron mein
Ismein usmein har mein saaron ke - saaron mein
Vyaaparon me raunak , masti bazaaron mein
Jo bacha samay shiksha mein karobaaron mein
Kone kone tak andhiyare mitaa diye
Rang diya ujiyaara - diya ujjwala naara
Hansti aankhein duaa de rahi kah kah kar
Ghataa ghutan ka paara - dhuan mitaa ke saara
Ghar- ghar dar-dar nayi urjaa - josh naya
Naari sashaktikaran saakshaatkaar hua
Ujjwala Bharat Ujjwala
Ujjwala Bharat Ujjwala
Sangyaan naye Bharat ka
Abhimaan naye Bharat ka
Ujjwala Bharat Ujjwala
Ujjwala Bharat Ujjwala