Aadha

Krsna Solo

Teri baahein
Mujhko bulaye
Ankhein hai khuli magar
Phir bhi dhundhle hainn sare nazaare
Kuch toh hua aaj sitaron ko
Rangin khwab dikhlaye
Ummidon mein dil doobe har pal
Tere sang badlegi takdeerein
Har pal khalti hai mujhko teri kumi
Sun le jo khwaishein hai dil mei dabi
Teri bina main hun aadha,
Teri bina main hun aadha,
Tujhse puri hotoh hai meri zindagi
Tere bina hun main adha

Dil mein tufaan sa banke mujhko tadpati hai tu
Aisa hai asar tera kaise samjhaun
Teri naraazgi seene ko chhal de
Teri muskaanon mein hi ab mera sukoon
Rab ki meher ho jaye
Ruh se ruh ko milaye
Ke main tera hun tera hun, main tera hi hun
Dooriya ab hai na gawara
Teri parchayi ko hi main chhoo lun
Har pal khalti hai mujhko teri kumi
Kitne armaan jaane hain dil mein dabe
Teri bina main hun aadha,
Teri bina main hun aadha,
Aaake kar de mujhko pura
Tere bina hun main adha

Kya tu koi bharam hai
Jo main bhi na Janu
Mahaz ek ehsas banke
Reh gayi hai tu
Saabit kar de mujhe galat
Aur na tu mujhe parakh
Mil jaye tu yahin kahin
Yehi dua karun

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Krsna Solo

Autres artistes de Film score