Satyug

Nihar Hodawadekar

Tune keetabo se sikha ya duniya dari se sikha
Donome farak h bohot pr sikhsha to h na
Paisa cheen ke le ya hathose ginn ke le
Donoka matlab h alag pr wo bhiksha toh h na
Yaha chote mote lafdo me bhi ghode chalte
Aaj jaat or dharam se bhi tere lote lagte
Ek kadwa sach ara ye jabaan se hotope
Ab gandhi bhi photon pe nahi sirf notope jachte
Yaha mandeero ke andhar rakhi daan peti hai
Or bahar bheek mangti 60 saal ki maa baithi hai
Mere hatope tattoos toh ye samaaj kare judge
Angreji bajj toh gulami aaj bhi awaam sehti h
Theres many broke niggas selling out the drugs on the streets
Cops taking the bribe and they just act like its skit
Mofukas ride on us when we rap reality
Am a marathi guy mhnun mala pachat nahi he beef
Ye kalyug ke daur me mujhme satyug wali vibe
Karam mere ache na li kabhi dharam se mene hype
Kal hi tha me nastik ab mujhme kalki wale signs
Yeh kavita vastavik or isme na koi do rahe
Mere har bure kaam ke piche ek acha maksad tha
Dilse pyaar unko bhi jinko mujhpe tab shaq tha
Meri kahani ke har pehlu padhlo tum dhyanse
Yeh raakshas hamesha se ek rakshak tha

Iss duniya se gayab me
Ab to mic hi life hai
Yeh kalyug ke daur me bhi
Mujhme satyug si vibe hai
Iss duniya se gayab me
Ab to mic hi life hai
Yeh kalyug ke daur me bhi
Mujhme satyug si vibe hai

Yeh gareebo ki madad krke selfie krke share kare
Kyuki neki krke dariye me dalne se na pet bhare
Yaha neta vijeta toh uska beta vejeta
Aaj insaan ek doosre ko thug ke apna jeb bhare
Pr mai in sab cheezo se aage badhne laga
Mera satyug sa jeevan har din tyohar lagne laga
Bachpan se abtak mene dekhe kayi mausam
Ye 20 saal ka jeevan bhi 100 saal sa lagne laga
Gana nahi issbar jaise granth likh diya
Santh nahi pr duniya ka anth dekh liya
Mene bachpan me gun se apna hath sekh diya
Mene gandh me hi bhund hoke har rang dekh liya
Mene janam se hi gum dekha pr comeback kiya
10 logose shuruwat thi aaj one lakh kiya
Day one se jo jaante hai unko pata hai
Har ganeme mene apna one hundred diya
Dil ka dwaar toda mera sabne daya banke
Har koi niche khichega jab tu kuch naya kare
Me chup rahu fir bhi tum sabkuch samjoge
Mera chehra hi meri khamoshiya bayaan kare
Maa baap ka pyaar nahi samaaj se takrar mila
Rashan or samaan nahi par music se samman mila
Har cheez ko dekhne ke nazariye 2
Mai shani ki shanti krne gaya par poora brahmand mila

Iss duniya se gayab me
Ab to mic hi life hai
Yeh kalyug ke daur me bhi
Mujhme satyug si vibe hai
Iss duniya se gayab me
Ab to mic hi life hai
Yeh kalyug ke daur me bhi
Mujhme satyug si vibe hai

Curiosités sur la chanson Satyug de Nazz

Qui a composé la chanson “Satyug” de Nazz?
La chanson “Satyug” de Nazz a été composée par Nihar Hodawadekar.

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Nazz

Autres artistes de Psychedelic rock