Pray

Sabih Saleem, AHSANULLAHKHAN

[Verse 1: Sabih & Arika]
Kahan hai roshni
Jahan me sabar karun
Yahan kyun fautgi
Yahan par qabrain hain kyun?
Yahan ke saray mureed
Wahan pe dartay hain kyun
Jahaan ke saaray haqeer
Wahan par hastay hain kyun?

[the last voice note]

[Verse 2: AHSANULLAHKHAN]
Raatein kaatein gussay mai ab
Kaati dourein tere sabab
Dil ko lage chiray bohat
Na kal dekha tu na hi ajj rahe hum

Kaisay karein afshan ye zarre
Kaisay larein samne jab mukray
Kaisi ye ajab si khalish hai
Ke hum yun simat ke bhe bikhray

Han karo meri baaton pe ghour
Ye zakham hain ayan mai raha kanton pe dour
Khudse waqif hun bhai mere paanay hain soz
Jo tu bhaga yun durr to phir bhul jaaye dor

Meri qurbat hai shayari, hayat hai sirf maut
Mere qalam ne bhe bola k azmale ye shoukh
Khuda janta hai maqsad par mukhbar ye loug
Khuda bara badshah mera rab mera sab bht

Tum jaa kar bhe gaye nahi
Tum pas ho par dekhe nahi
Munkata kare raahein saari
Taake khudse yuo laarein nahi

Maine kabhi nahi bola mujhse karo baat
Saarokar nahi kisi se bhe sirf karun kaam
Zimdaan baani meri souchen mange meri jan
Khudse khafa hun mai tabhi jaagon saari raat

Autres artistes de