Alone In Malir

SAVAGE (PAK)

Joda Wese Rishte
Jaa Rahe Mujhse Toot
Rehta Ghar Se Aksar
Kaafi Hu Main Duur
Lag Ke Mar Jaati hai Bhook
Itna Kaam Mein Masroof
Kuch Bhai To Kuch Ke Liye
Kaafi Hu Main Rude
Maine Kari Nahi Life
Khud Se Ye Choose
Nahi Tha Tu
Jab 250 The Views
Ab Gaadi Mein Dekh Kar Mujhe
Bike Roke Tu
Dosto Mein Mujhe
Apna Bhai Bole Tu
Sawaar Gayi Cheeze
Woh Jo Aziyate Lagi
Bekaar Duniya Ki
Ye Naseehaten Lagi
Kuch Eid-en Guzri
To Wo Eid-en Nahi Lagi
Kuch Cheeze Bikhri
To Woh Cheeze Nahi Mili
Sabak Kuch Mile
Lekin Ham Seekhe Nahi
Zakham Jo Mile
Ham Unko Seete Nahi
Kis Muh Se Yumhe
Ham Bura Kahe
Rahegi Qadar Tumhe
Jo Ham Na Rahe
Jo Ham Na Rahe
Teri Mehfilon Mein
Dekhi Bhalai Maine
Rab Ke Faislon Mein
Mili Rihayi Mujhe
Phirse Qaid Hoke
Aur Jaane Waale Bhi To
Tere Saikdon Mein
Kya Hi Reh Sakoge
Tum Mere Bin
Raaton Ko Main Jaag Raha
Kat Rahe Din
Manzilein Haseen
Raaste Katheen
Rehti Kabhi Duuriyan
Faaslon Ke Bin
Kya Batayen Tumhe
Dil Ka Jaane Jaan
Ye Tere Aane Ki
Ummeed Mein Hai Khamakha
Tere Hone Ka Ehsaas
Jala Ta Jaa Ba Jaa
Hamesha Der Karta
Waqt Pe Na Aa Saka
Main Zyada Waqt
Na Laga Saka
Kuch To Bachata
Agar Sab Na Bacha Saka
Haa Maana Maine
Vese Thoda Khud Parast Hu
Aur jab Tum Vaade Karo Wafa Ke
Main Khud Par Has Du
Khuda Aur Log Uske
To Kese Sab Badal Du
Bhula Main Pata Apna
Kese Apne Ghar Ko Chal Du

Outro:
Phirse Likh Raha
Aur Jod Raha Afsaane Main
Bohot Der Kardi
Tumne Vapas Aane Main
Awaaz Dene Mein
Wapas Bulane Mein
Dil Behlane Ke Liye
Likh Raha Hu Gaane Main
Phirse Likh Raha
Aur Jod Raha Afsaane Main
Bohot Der Kardi
Tumne Vapas Aane Main
Awaaz Dene Mein
Wapas Bulane Mein
Dil Behlane Ke Liye
Likh Raha Hu Gaane Main

Autres artistes de