Meherbaan (feat. Shekhar Ravjiani & Ash King)

Anvita Dutt / Kumaar / Vishal-Shekhar

Ye aa ya ya ya ya

dil ki maange thodi thi kam
har duaa bhi thodi maddham
tune kaandhe pe sar jhukaaya jab
jaise dargah pe baandhe dhaage tab
bina maange hi mill gaya hai sab

meherbaan hua hua
meherbaan hua hua
meherbaan hua
meherbaan hua rab
meherbaan hua
meherbaan hua rab

duaa rang rangiya yun malang laal laal rang
rooh ki patang baandhi tere sang
tab hi toh laga
meherban hua rab
o din ye sehre sa saja
meherbaan huaa rab

Ye aa ya ya ya ya

haathon ko tere apne
haathon mein le leti hoon
ke taqdeerein apni saari padh loon

aankhon mein tere chhupte
armaan main dhoondhta hoon
bas tu soche, aur poore main kar doon

abhi abhi toh hum adhoore thhe
poore ho gaye tere roobaroo
oo ye bhi deekhe na
kahaan main khatam, kahaan tu shuru
aankhein teri (aankhein teri)
girti hain jab (girti hain jab)
ab to neendein aati hain tab

humko lagta hai kuch dino se ab
tu ibaadat hai, tu hi hai mazhab
bewajah kaise, kyu, kahaan aur kab

meherban hua hua
meherban hua hua
meherban hua
meherban hua rab
meherban hua
meherban hua rab

rab ne banaaya sabko
par kaun bataaye rab ko
mar ke tum pe, hum saans lete hain
rab se karun jo duaayein
ab ye tujhi tak jaayein
tu jo sun le toh sunta ye rab hai

jaane naa jahaan
jaane hai kahaan
mili thi meri teri haan me haan
sach hai yahi tujh sa kahin
nahin hai nahin

meri raahein aayein tujh tak
iss janam se har janam tak
waqt ko rokein aa zara sa ab
usko samjha dein ishq ka matlab
chhod ke zidd ye maan lega ab

meherbaan hua hua
meherbaan hua hua
meherbaan hua
meherbaan hua rab

meherbaan hua
meherbaan hua rab
meherbaan hua
meherbaan hua rab

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Shilpa Rao

Autres artistes de Alternative rock