Tu Hai Kahan

(Verse 1 - Vintage)
Ye kashmakash kaisi aati na zubaan pe kyu
Waise tu saath nai par saath bhi nibhati tu
Ohh humnava tera yaar hardafa lega
Dard tera jo bhi muskurahat mein chhupati tu
Woah
Dekhna nai chahta khudse door
Woah
Thoda darr bhi hai thoda guroor
Woah
Jo lavz hotho pe tu laati nai
Kehti nai par jatati bhi
Haa jab bhi dekhu aankhon mein teri
Woh karti hain kubool
Aankhein karti hain kubool
Aankhein karti hain kubool

(Chorus - Vintage)
Tu hai kahan jaana
Dede pata
Maana chhupke tu bethi hai
Rehti hai kyu tu itni door
Tu hai kahan jaana
Dekh le naa saare khatt jo likhe hain
Tere liye woh hone hain mashoor

(Verse 2 - RISHIG)
Yaad kar
Kaise 2 ajnabee thae bane humsafar
Raat bhar
Ek duje se hatate na thae woh nazar
Toh aaj kyu?
Na hain paas dono
Kyu kho chuke hain firse milne ki ab aas dono
Ye mere dil se nikle baat jo
Woh aur kuch nahi
Humari hi kahani hai
Toh sunle tu bhi aaj
Har raat sapno mein saath
Main aur tu thae
Ek duje ki aankhon mein hi
Dono thae doobey
Par meri zindagi ka toh hai dastoor yeh ki
Sapne mere rehte hain hamesha se adhoore
Tabhi hum mil bhi naa paaye yu
Aur ab main ek toota taara hoon
Toh kya khudse hi dua maang loon?
Ki main bhi jud jau aur aajaye firse paas tu
Khair
Woh saare pal khush naseeb thae
Jab tu kareeb thi dil ki dehleez ke
Fir na jaane kyu tere vahi kadam
Lagne lage zakham
Aur hogaye juda hum
Na chahke bhi tujhse hogaya main door
Na jaane kis baat ka badhta gaya guroor
Par ab hai mujhe manzoor meri galtiyaan saari
Main maangu maafi tujhse aaj hi mujhe firse karle kabool

(Chorus - Vintage)
Tu hai kahan jaana
Dede pata
Maana chhupke tu bethi hai
Rehti hai kyu tu itni door
Tu hai kahan jaana
Dekh le naa saare khatt jo likhe hain
Tere liye woh hone hain mashoor

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Vintage

Autres artistes de Middle of the Road (MOR)