Bezubaan Phir Se (Madhav Krishna & Anushka Manchanda)

Jaan le ki kismat ne baante hai
Raahon mein kaante hain
Aur main bhi hu ziddi aaun kismat ke aade
Naa roke rukun, tu gira main uthun
Pinjre todkar failaunga main par
Tujhme jitna hai zor tu laga le magar
Hans ke kat jaayega, na jhukega ye sar

Jaan le ki kismat ne baante hai
Raahon mein kaante hai
Naa roke rukun tu gira, main uthun

Regzaaron mein, aag hai jitni
Hai lahu kholta mera inn ragon me phir bhi
Khaaksaron ko, khaak hi kaafi
Raas mujhko hai khamoshi meri

Bezubaan kab se main raha
Begunaah sehta main raha
Bezubaan kab se main raha
Begunaah sehta main raha

Jaan le ki kismat ne baante hai
Raahon mein kaante hai
Ki ki kismat ne baante hai
Raahon mein kaante hai

Sau sawaal hain
Sau hai laanate
Mere taraano pe
Lagi hai kaalikhe

Laakh sapno ki
Raakh haathon mein
Sooni aankhon mein jalti umeed hai aakhri
Na mila mauka, na mili maafi
Kehdo kitni sazaa aur baaki

Bezubaan kab se main raha
Begunaah sehta main raha
Bezubaan kab se main raha
Begunaah sehta main raha

Jaan le ki kismat ne baante hai
Raahon mein kaante hai
Main bhi hu ziddi aaun kismat ke aade
Naa roke rukun tu gira main uthun
Pinjre todkar failaunga main par
Tujhme jitna hai zor tu laga le magar
Hans ke kat jaayega, na jhukega ye sar

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Vishal Dadlani

Autres artistes de Film score