Azaadi

Azaadi chahun dil se
Mohlatein na maangu milke
Mein dil ka saaf milke
Dil se jodun taar dilke
Vo sar ke paar waali baatein badbadaate kyun
Jiske liye ghaat uski thaali me hi khaate kyun
Nafrat bhari to naate kyun
Barish pasand to chhaate kyun
Jab pachta nahi to khaate kyun
Karna nahi to batein kyun
(Vo chahte kya)
Meri zindagi se har ghadi se ladta mein
Akelepan ko bharta mein na ghar ka karta dharta mein
Mere ghar ke bahar ladke chaar
Pitne se darta mein par meine kiya pehla vaar
Haan socha bada pariwar mujhe dega haath
Khada mein bhi intezaar me
Karun kya intezaar
Haan Matlabi vo matlbai the mujhko ratt lagi
Haan lat lagi safalta ki jab daao pe izzat lagi
Ye dillagi jo kalam ki mere haath se
Raste me kaafi saanp hain
Fir bhi kadam na kaanpe
Jab dil ko bole saaf
To fir haath tere maile kyun
Khud ko bole badshah
To fir nehle pe dehle kyun
Khada mein tujhse pehle kyun
Sada tu mujhse jaane kyun
Businessesman waali soch
Leke noch lenge log
Chahte fame karke blame
Mehnat ka banta meme
Rehmat ka maara dil bechara
Kisko banna same
Na mein nakara mein awaara
Ghumun galiyon me
Fir bhi kabhi bhoola nahi
Bachpan tha mera kaliyon pe
Sahara manga zariyon se
Sapno me dikhti pariyon se
Bandana baandha sar pe
Jab se dooba rap ke dariyon me
Mein ghadiyon me dhoondhun khud ke kaante
Khud ki batein chubhti sehta muskuraake
Jhoothe saare rishte naate
Mein haq se kehta rakt behta jese paani ho
Musibatein musafir zindagi jese kahaani ho
Mere chahne waale kehte bhai tum
Akele hi kaafi ho
Ye thakelon ko maafi do
Tum akele hi kaabil ho
Ye Vakeelon ki chaal samjho
Jawano ka haal samjho
Ladki ko ladki na tum
Khud ke ghar ka maal samjho
Dhamaal samjho
Jab VISION chadhta mic pe
Haan future tera bright
Jab tu vision rakhta tight

Khuda Hafiz Bruhh..

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Vision

Autres artistes de Punk rock