Maa (Mother)

Walter Lobo

Maa (Mother)

Maa woh shabd hai jiska koi anth nahin
Woh toh bhagwan hai ya koi santh kahin
Dil jiska bhari hai dhanya woh naari hai
Khuda ne jiski nazar utari hai
Pyaar jiske dil mein hai aparampaar
Mamta zhalakti ho Kenya ya Khar
Baccha chahe kitna naalayak bane
Maa kabhi usme kamina dekhe
Din raat mehnat karti hai
Aahen woh bharti hai
Zameen phat jaaye
Toh banti woh dharti hai
Aadmi ho jaanwar, ya ho kasaai
Bhedh nahin karti hai woh mere bhai
Baccha agar kabhi bhuka roye
Maa apna peth kaatke bhuke peth soye
Bachon pe woh marti hai
Kisise na darti hai
Sherni ki tarah woh
Ladthi jhagadti hai
Dhanya Dhanya hey devi maa
Tujhse bada kaun hai, yeh toh bataa
Dil khudka kaate yeh, bachon mein baate yeh
Buri baat ki toh pyaar se daate yeh
Kismat se milti hai sabko yeh maa
Mat tu kismat ka fayda utha
Izzat kar, shiddat kar, bitha maakon palkon pe
Milne mat jaana tu usko sirf zhalkon mein
Roti, Kapda ya Makaan kamale
Par Maa ka pyaar tu nahin gawale
Paisa chala jayega Gadi chali jayegi
Sirf maa hi hai
Tera Saath nibhayegi

Hey Maa
Tujhe pujoon
Tujhe chahoon
Teri baat main manoon
Tere dil ko main janoon
Tujhko palkon pe bithake
Teri seva aur stuti karoon maa

Hey Maa
Tujhe pujoon
Tujhe chahoon
Teri baat main manoon
Tere dil ko main janoon
Tujhko palkon pe bithake
Teri seva aur stuti karoon maa

Maata Mariam ho ya ho Mother Teresa
Maa ke kahin naam hai, nahin poocho kaisa
Naari shakti hi hai Bhaari shakti
Maa ke charan choo aur kar tu bhakti
Bachpan se lekar budhape tak
Bachon ka dhyan de woh marte dam tak
Kapde woh dhoye, Khana banaye
Sabko khush rakhe, chahe khud nahin khaye
Zhopde mein rahe ya mehlon mein jo
Pyaar mein kami nahin karti hai wo
Nau mahine tadap ke duniya mein humein laye
Chahe career uska barbaad ho jaaye
Bacchon pe karti hai woh jaan nichawar
Khud karti hai unko cover
Toh phir mat sata aisi devi maa ko tu
Jisse teri zindagi khatam aur shuru

Hey Maa
Tujhe pujoon
Tujhe chahoon
Teri baat main manoon
Tere dil ko main janoon
Tujhko palkon pe bithake
Teri seva aur stuti karoon maa

Hey Maa
Tujhe pujoon
Tujhe chahoon
Teri baat main manoon
Tere dil ko main janoon
Tujhko palkon pe bithake
Teri seva aur stuti karoon maa

Maa ke kandhe pe chadke safal ho gaya
Toh phir maa ko kyun tu bhool gaya
Daulat ke peeche bhaaga, Bangle ke peeche bhaaga
Kyon toda tune maa se bandha dhaag
Aage hi jaa raha hai, peeche mudke toh dekh
Budhi maa ka haath thamb kar, ek kaam kar tu nekh
Tab bhi chahti thi tujhe, ab bhi chahti hai
Tere intezaar me woh diya jalati hai
Aur waqt lagaana tu, der na ho jaye
Rasta dekh ke maa ka diya na bujh jaaye

Hey Maa
Tujhe pujoon
Tujhe chahoon
Teri baat main manoon
Tere dil ko main janoon
Tujhko palkon pe bithake
Teri seva aur stuti karoon maa

Hey Maa
Tujhe pujoon
Tujhe chahoon
Teri baat main manoon
Tere dil ko main janoon
Tujhko palkon pe bithake
Teri seva aur stuti karoon maa

Hey Maa
Tujhe pujoon
Tujhe chahoon
Teri baat main manoon
Tere dil ko main janoon
Tujhko palkon pe bithake
Teri seva aur stuti karoon maa

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Walter

Autres artistes de Neo soul