Jai Lakshmi Mata – Lakshmi Mata Ki Aarti [Aarti]

SANJEEVANI BHELANDE

Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata
Tumako Nishidin Sewat, Maiya Jee Ko Nishdin Sewat
Hari Vishnu Vidhata, Om Jai Lakshmi Mata

Uma Rama Brahmani, Tum Hi Jag-Mata
Surya-Chandrama Dhyavat Naarad Rishi Gata
Om Jai Lakshmi Mata

Durga Roop Niranjani, Sukh Sampatti Data
Jo Koi Tumako Dhyavat, Riddhi-Siddhi Dhan Pata
Om Jai Lakshmi Mata

Tum Patal-Nivasini, Tum Hi Shubhdata
Karma-Prabhav-Prakashini, Bhavanidhi Ki Trata
Om Jai Lakshmi Mata

Jis Ghar Mein Tum Rahti, Sab Sadgun Aata
Sab Sambhav Ho Jata, Man Nahi Ghabrata
Om Jai Lakshmi Mata

Tum Bin Yagya Na Hote, Vastra Na Koi Pata
Khan-Pan Ka Vaibhav, Sab Tumase Aata
Om Jai Lakshmi Mata

Shubh Gun Mandir Sundar, Kshirodadhi Jata
Ratna Chaturdash Tum Bin, Koi Nahi Pata
Om Jai Lakshmi Mataa

Lakshmi Ji Ki Aarti, Jo Koi Jan Gata
Ur Anand Samata, Paap Utar Jata
Om Jai Lakshmi Maata

Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata
Tumako Nishidin Sewat, Maiya Jee Ko Nishdin Sewat
Hari Vishnu Vidhata, Om Jai Lakshmi Mata

Curiosités sur la chanson Jai Lakshmi Mata – Lakshmi Mata Ki Aarti [Aarti] de संजीवनी भेलांडे

Qui a composé la chanson “Jai Lakshmi Mata – Lakshmi Mata Ki Aarti [Aarti]” de संजीवनी भेलांडे?
La chanson “Jai Lakshmi Mata – Lakshmi Mata Ki Aarti [Aarti]” de संजीवनी भेलांडे a été composée par SANJEEVANI BHELANDE.

Chansons les plus populaires [artist_preposition] संजीवनी भेलांडे

Autres artistes de Film score