AJEEB
Haan zindagi ajeeb meri main bhi bohot sakt ab
Masle bohot saare suljhane ka nai waqt ab
Nasamajh saare samjhane jayen maktab
Kitney ab tak kitney howe akth ab
Waqt ab Naqaabil-e-bardasht phir bhi duniya chal rai
Be waja shaq ismain koi shaq nai
Mehnat kaam aye jiger chalta luck nai
12 ghantey kaam likhney ko waqt nai
Middle class idher dark theme on
Jaan ke anjaan ban ke pouchte hen kon
Mujhse akar ke baat karein in a higher tone
Ghar se bahir mein aksar band rehta phone mera
Different scene matlab mukhtalif baatein
Hen nai jesa ye ban ke dikhate
Haqeekat dikhti wo dekhna nai chahte
Faarig nai jo inke nakhre uthatey han
18 saal hustle ki bohot 8 saalon main
Kaafi zimedariya akela hi sambhalon main
Zehen uljha ab mazeed kuch sawalon main
Khayalaat aksar rehte hen khayalon main
Tujhpe tars shumaar hota jab bichaaron main
Ek shaks bhi seedha nai in lambi si qataaron main
Kuch cheezain samajh hi nhi pa raha hon main
Unke iraade marzi chalti mukhtalif idaaron main
No one know sab ab rehte anjaan
Heraan khud se mai zada pareshaan
Beqadar ghoome ab qadar-daan
Chand log khafa chand bante meherbaan
Pakistan mai sindh ka markaz
Shadeed garmi opar se sar dard
Baatein zanana in main raha nai fark ab
Faarig larkey inki fazool harkat
Han mene dekhe bohot rich snakes
Original kam and to many fakes
Attractive Art chalte surgical blades
Shady boy donga different shades han
Waqt kum najaane kab jaane ye abaadi
Ajeeb lagti mujhe tumhaari ye adda bhi
Halaat e haal or kuch baatein daba di
Zawaal urooj per idhar nai rukti barbaadi