Mukhtasir

Ahmad Mughal

Dil saaf laazim han Zehen zaheen ho
Maqsad manzil ke saare manzer haseen ho
Main akela kaafi phir beshak tum teen
Baaton ashar sab main barabar takseem ho

Peeche khara raha mai hamesha har baar
Wese bhi dheet han nai maani haar
Larkey bahir ghar se ab rehte khuwaar
Isi kalam se likhon matlab ek se chaar
Chand jomle jinse baida howi dil main daraar
Behter kuch nazar band kuch baatil faraar
Nasamajh khud ko samjhe ab samajhdaar
Ek hi drama jis main tum sab bane adakaar
Nojawani meri janoon sar pe sawaar
Intzaar main bethey najaane kab aye bahar
Zeher abohawa main bohot gardogubaar
Mukhaalifon ke liye rakhe talqh lehje tayaar

Haan ajeeb tu or ajeeb tere gang sign
Sarkon pe ghoomo leker main double mind
Sab se alag dikhon kiun ke main karon shine
Likha sach bro jese hi mujhe mila time

Pouch se bahir karon baatein sab gehrai ki
4 bande haazir sirf ek call tere bhai ki
Tum bekhabar shurwat ho choki tabhai ki
Ajeeb kefiyat ajeeb cheezain bhi dikhai di

Ab baat karon jo bhi lage behes
Halaaton ke haath howe hum tehes nehes
Sar pe stress karon kaam zada nai karon rest
Main scene poora badaldon just wait for the next han

Mushkilen paish ayi bohot raaste main
Kaabil halaak howe phir se ek haadse main
Bhoola jo yaad rakhonga aj yaad se main
Ajeeb ek khayal main hon raat se main

Nasamajh ab ghaflat main duniya aadhi
Khamoosh reh kar mene sab kuch suna bhi
Aman ke khaatir rokey hamle jawaabi
Bikharne se pehle jese dastan suna di

Mukhaalif bageir soche ab chalte rahe chaal
Ye haal main hote howe bhi rahe behaal
Khoobsurat khayalon ka khaas karon khayaal
Aiyne main dekh khud bolon khud ko sambhaal
Ab homie saare bolen bro tune kiya kamaal
Jigar sab seekhne main bohot lage hen saal
Ab khud ki khushi kam zadda hota malaal
Tujhe gark karen sirf tere amaal

Kitni nazar andaaz ki mene galtiyan tumhari
Sotey nai bori aadat hai hamari
Khudgarz zamaane main seekhi khudaari
Zindagi asaan nai thi jese tese guzari

Wohi sar par charte ab jinka karon lehaaz
Baazon main aqsar hon dhokebaaz
Baaz kho kar baithe apna hosh-o-havaas
Ana dafan ki thi mene kanhi door daraaz

Umeed hai ke iska koi behter anjaam ho
Lazim bhi nai hai ke har rasta asaan ho
Dimaag ke faislon main dil ka nuqsaan ho
Hareef karen koshish onki saari nakaam ho

Hum backbancher par hamesha se hi tez the
Bohot se manzer kuch heratangez the
Kuch khamoosh kuch hungamakhez the
Tumhe sab dikhta magar tum sab kuch nai dekhte haan

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Ahmad

Autres artistes de Hip Hop/Rap