Ishq Abhi Bhi

chaand sitaaron laal gulabon
kasme wadon wala nahi
khat mein dil ka haal bayan ho
padhne likhne wala nahi

dil ki shaan mein sher sunane
ghazle gaane wala nahi
aankhon hi aankhon mein saari
umar bitaane wala nahi

naye daur ka love kya kehna
har pal keemti hota
ishq ye fir bhi kaayam
raaton ko dil ye rota

naye daur ka love kya kehna
raat gayi toh baat gayi
ishq ye phir bhi maddham hai

ishq abhi bhi ishq hai
behadd ye mera ishq hai
naya naya ho ya puraana
phir bhi khoobsoorat hai

ishq abhi bhi ishq hai
behadd ye mera ishq hai
naya naya ho ya puraana
ishq abhi bhi, ishq abhi bhi
ishq hai
hathon mein hathon yun hi leke
sair karaane wala nahi
mom ki battiyan jalake
khair karaane wala nahi

saat saat saaton janam ki
kasame khane wala nahi
kal ki fikron mein jawani
ko udaane wala nahi

naye daur ka love kya kehna
mushkil mein hai hota
naa milo toh yeh roothe
hai milne pe bhi rota

naye daur ka love kya kehna
raat gayi toh baat gayi
chaand ye phir bhi maddham hai

ishq abhi bhi ishq hai
behadd ye mera ishq hai
naya naya ho ya puraana
phir bhi khoobsoorat hai

ishq abhi bhi ishq hai
behadd ye mera ishq hai
naya naya ho ya puraana
ishq abhi bhi, ishq abhi bhi
ishq hai

mann kahe ke na darana
aise ghabraana
dil kahe ishq hai

pehla ho ya ho aakhri
dil kahe aafreen
ishq toh ishq hai

baarishein hai geeli geeli
thodi seeli seeli
dhoop abhi bhi khushk hai

din raat raat-din ho jaaye
ishq abhi bhi ishq abhi bhi
ishq hai

naye daur ka love kya kehna
har pal keemti hota
ishq ye fir bhi kaayam
raaton ko dil ye rota

naye daur ka love kya kehna
raat gayi toh baat gayi
ishq ye fir bhi maddham hai

ishq abhi bhi ishq hai
behad ye mera ishq hai
naya naya ho ya puraana
fir bhi khoobsoorat hai

ishq abhi bhi ishq hai
behad ye mera ishq hai
naya naya ho ya puraana
ishq abhi bhi ishq abhi bhi
ishq hai

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Clinton Cerejo

Autres artistes de Film score