Raat

Dikshant, Jai karki

Sach kaha hai kisine
Tute dil se nikalte hai geet
Ik dafa, ik baat huyi
Chhod chala mujhe mera meet
Woh bistar par Takiye ne mere
Aansuon ka hisaab rakha pura hai
Koshish bhi na ki tune samajhne ki
Yeh dil tere bin adhura hai
Main toh khoya,
Aur na soya
Par haan roya hoon
Raat bhar

Bikhre se ho gaye they
Khwaab tab
Jab kehdiya tha tujhko alvida
Aankhon mein bewafai
Dekhi sab
Kya thi meri khata ab tu bata
Haan kismat ki iss kahani par
Duniya ne maza liya jamke pura hai
Koshish bhi na ki tune samajhne ki
Yeh dil tere bin adhura hai
Main toh khoya,
Aur na soya
Par haan roya hoon
Raat bhar

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Dikshant

Autres artistes de Pop rock