Ye Pyar Ke Siwa

Krsna Solo, Pinaki Roy

Shamo sahar teri baat ho
Janmo janam tera saath ho
Har goonj mein teri awaaz ho
Jannat mile jab tu paas ho
Jahan jahan pade tere kadam
Chale raahein meri
Kabhi jo tujhe ho koi bhi gham
Hain baahein meri
Ye pyar ke siwa aur
Kya main dun tujhe
Kuch bhi tere aage
Na dikhe hai mujhe

Ye pyar ke siwa aur
Kya main dun tujhe
Kuch bhi tere aage
Na dikhe hai mujhe

Hmm hmm

Banke main teri parchai rahun
Aur kya karun arzoo
Wo-oo-h
Tujhpe aake thehre mera mann
Tera hi dusra naam hai sukoon
Kabhi jo yun chhoo le tu mujhe
Har zakhm hai bhare
Chahat hamari bhi ye din ba-din
Kaise na badhe
Ye pyar ke siwa aur
Kya main dun tujhe
Kuch bhi tere aage
Na dikhe hai mujhe

Ye pyar ke siwa aur
Kya main dun tujhe
Kuch bhi tere aage
Na dikhe hai mujhe

Aah, aah, aah, aah

Soche ye agar hota na yakin
Hum bhi the kabhi ajnabi
Wo-oo-h
Do dil ik jaan
Yun hum ban gaye
Khoobsurat lage hai ye zindagi
Zindagi ki hain khawaishein
Main teri banun
Tujhe dila sakun har khushi
Ardaasein karun

Ye pyar ke siwa aur
Kya main dun tujhe
Kuch bhi tere aage
Na dikhe hai mujhe

Ye pyar ke siwa aur
Kya main dun tujhe
Kuch bhi tere aage
Na dikhe hai mujhe

Curiosités sur la chanson Ye Pyar Ke Siwa de Krsna Solo

Qui a composé la chanson “Ye Pyar Ke Siwa” de Krsna Solo?
La chanson “Ye Pyar Ke Siwa” de Krsna Solo a été composée par Krsna Solo, Pinaki Roy.

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Krsna Solo

Autres artistes de Film score