Ham Pyaar Tum Hi Se

hum pyaar tumhi se karte hai-2
nadaan baalam tum kyaa jaano
tum rooth gaye, dil tut gayaa
paaya hai jo gum tum kyaa jaano
hum pyaar tumhi se karte hai

jab hum ko banaaya thaa apnaa
kyun haal naa dil kaa jaan sake
ek phool chunaa
ek phool chunaa aur fenk diyaa
khushboo le naa sake
thukaraa diyaa meri ulfat ko
apnaa ye sitam tum kyaa jaano
hum pyaar tumhi se karte hai

mit jaaye muhobbat ki duniyaa
ye baat koi aasaan nahin
armaan bharaa
armaan bharaa ye dil meraa
naazuk hai magar naadaan nahin
munh pher lo hum se laakh magar
badalenge naa hum, tum kyaa jaano
hum pyaar tumhi se karte hai

hum pyaar tumhi se karte hai
nadaan baalam tum kyaa jaano
hum pyaar tumhi se karte hai

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Lata Mangeshkar

Autres artistes de Film score