Aaina
Kitnon ko rakhaa saaye mein
Kitnon ke kehne se main toh dartaa raha dekhne ko aaine mein
Ha koi toh bataayein mujhe
Ki lage baatein kyu adhoori jab karta hu poori kyu ye kisi ko sunai na de?
Kitnon ko rakhaa saaye mein
Kitnon ke kehne se main toh dartaa raha dekhne ko aaine mein
Kitnon ki suni raayein maine
Par jiski na suni usse kyu lage ki nahi hai parvaah mujhe
Leher leher tu le jaa apne saath
Naa khaamiya jahaa
Wo mera jahaan
Socha padha ki kya hai mujh mein khaas?
Khoju main kahaan?
Mujhe tu bataa
Kabhi kabhi main sochu kya hi hai maksad?
Palak jab, jhapak kar, badalti kismat
Falak tak, zabar dasti, paunchenge sab par
Ha jab tak, hai pauche ye rishte hi khatam
Kyu aksar? Chale ye raaste darr karr?
Jab maalum hai hogi mulakaat har mod par
Chunautiyo, mushkilo, yaaron ke saath
Aur jab hoga dil bhaari faile yaadon ke parr
Ha mujhe jeena hai
Papa ka chauda karna seena
Mummy ko le jaana ser pe, dikhaani poori duniya hai
Bhai ko sikhaani gaadi
Thokar khaake aage badhna hai
Dadi ko dena haath jab seedhi pe unnhe chadhna hai
Ha jeena hai
Doston ke saath mujhe peena hai
Karni hai chhed-khaani kyuki bhaiyon mein toh keeda hai
Jo saath sunne gaane unnke saath stage chadhna hai
Jo saath pale-bade unnke saath hi toh badhna hai
Ha jeena hai
Bachpan ke pyaar ka jo dhaaga usse
Bareeki se umr bhar ki khushiyon mein seena hai
Tairna hai aasmaan mein
Sagar main mujhko ab udnaa hai
Karnaa hai jo dekha sapno mein
Raah se na mudna hai
Haa jeena hai
Jeena uss parivar ke liye
Jo ab aasmaan mein jiye
Bannke taarein dekhe humko neeche
Chamakte hum bhi hai
Faade kaagazat aur diye
Unnko number jo asli hai
Jitne dilon pe
Inn shabdon se
Hai dastakhat hum kiye
yeye
Leher leher tu le jaa apne saath
Naa khaamiya jahaa
Wo mera jahaan
Socha padha ki kya hai mujh mein khaas?
Khoju main kahaan?
Mujhe tu bataa