Rang

Aman Sagar, Mohak Kukreja

Jab se aaya main saamne
jabse aaya jahaan main
San 1999
Zyaada bola nahi

Baitha duniya ke saamne
Apni phati banyaan main
Hua zaraa hairaan
Duniya rangeen dikhi

Issi duniya ke aage
Khuli sachi main aankhein
Main madhoshi main aake
Gaake dhun nayi

Inn deewaron ke aage
Inn akbaaro ke aage
Inn sitaaro main jhaank
Dhundle zindagi

Chalte rahe marzi se
Parinde sabhi

Phisalte toh hum sabhi hai
Parinde sabhi

Chalte rahe marzi se
Parinde sabhi

Phisalte toh hum sabhi hai
Parinde sabhi
Parinde sabhi

Ha jabse ankhein khuli
Naa liya rukne ka naam , zindagi ki vasooli
Na cheez hai sardi zukaam , dawaa aisi jo mili
Shahad se meetha anjaam , geeton main baatein ghuli
Geeton main raatein ghuli

Beeti baaton main jhaake kalki kitaabein khuli
Inhi yaadon main aake ugg gayi kalaa ki kali
Ab iss kali ko bas ugaane ki bhook hai
Par khatam na hota yeh jo salaa kali-yug hai

Kya tu ghum hai?
Kya tu ghum hai?
Kya tu ghum hai?
Kya tu ghum hai?

Haa main gumsumm thaa zara saa
Poore shahar main raaton main ghumta awaara
Binaa nashe ke main toh hu jhoomta zaraa saa
Toh khola dil ye maine tod hi daala taala
Khol hi daala taala

Tabse na ruk ye paara shabdon ka phuwara
Naa hai fikar kisi ke saath hu ya kunwaara
Jaan jigar hai daali issmein maine sab hai daala
Dhunki main dubki li , dhunn sagar main taire jaara

Chalte rahe marzi se
Parinde sabhi

Phisalte toh hum sabhi hai
Parinde sabhi

Chalte rahe marzi se
Paride sabhi

Phisalte toh hum sabhi hai
Parinde sabhi
Parinde sabhi

Kya tu ghum hai?
Kya tu ghum hai?
Kya tu ghum hai?

Mere bol ye aise ki ye chalte jaare ruk naa paare
Baaki saare hai yahaa pe chup ye saare thande saare
Din ye beette jaare , mahine jaare, hafte jaare
Aaya naya saal , main na ruka , baaki haafte jaare

Ek saans li maari phoonk hue saaf saare
Kaam se haraam zyaada ye haraamzade
Jahaapana kahe jahaa wahaa gaye hum
Khudaa gawah , jab hum hai gaate innke panne saare kat te jaare

Din main innko dikhti raatein
Roshni main chaand taarein
Gaanon main ye hai gully se
Ghar pe AC , kamre chaar hai
Gaanon main nikli hai saari innki saari ye bhadaas hai
Kyuki ghar pe baithe shaant warna innko innki mummy daatein

Par theek hai main bhi karta hu ye sab kabhi kabhi
Gaanon main nikaal du sachaai dil main jo chhipi
Gaanon main dikhaadu jo dikhaana chaahta hai ye bachha
par na dikhaa hai sakhta sakhth duniya main ye aadmi

Gaanon main nikaalu jo hai aankhon main basi nammi
Gaanon main nikaalu gussa isspe usspe kisspe bhi
Gaanon se main khelu holi duniya main jo rang nahi
Main bharr du issmein , yaa main sachmain gaanon ko banaadu apni zindagi.

Curiosités sur la chanson Rang de Moha K

Qui a composé la chanson “Rang” de Moha K?
La chanson “Rang” de Moha K a été composée par Aman Sagar, Mohak Kukreja.

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Moha K

Autres artistes de Pop-rap