Yeh parda hata do (Feat. Asha Bhosle)
M: Yeh parda hata do, zara mukhda dikha do
Hum pyaar karne waale hai, koi ghair nahin
Arre, hum tum pe marne waale hai koi ghair nahin
F: O majnu ke nana mere peechhe na aana
Jaa pyaar karne waale teri khair nahin
Arre, o hum pe marne waale teri khair nahin
M: Yeh parda hata do...
M: Ek to surat pyaari upar se gusse ki laali
Bachna ae dil aaj hai koi bijli girne waali
F: Yeh bijli giri to tumhi pe giregi
Jaa pyaar karne waale teri khair nahin
Arre o hum pe marne waale teri khair nahin
M: Yeh parda hata do...
F: Shukhar karo ke pade nahin hai mere maa ke dande
Ek haath mein ho jaate armaan tumhaare thande
M: Maa ko bhi samjha do, bas itna bata do
Hum pyaar karne waale hai, koi ghair nahin
Arre, hum tum pe marne waale hai koi ghair nahin
F: O majnu ke nana...
M: Jahaan mile do jawaan nazar hoti taqraar vahin hai
Dil par rakhkar haath yeh keh do humse pyaar nahin hai
F: Dil ki baatein dilwaale nazron se hi pehchaante
Lekin kuch aise hai anari jo yeh bhi na jaante
M: Yeh pehle bataate baaraat leke aate
Hum pyaar karne waale hai, koi ghair nahin
Arre hum tum pe marne waale hai koi ghair nahin
F: O majnu ke nana...
BOTH: Hum pyaar karne waale hai, koi ghair nahin
Arre hum tum pe marne waale hai koi ghair nahin
M: Yeh parda hata do