Suraj Se Jo Kiran Ka Naata

Suraj se jo kiran ka naata, saagar se jo leharon ka
wohi hai tera mera rishta, tu jaane ya naa jaane
phul mein jaise basati hai khushbu, tu hai basa mere mann mein
pyaar hai tera jivan mera, tu maane ya na maane
suraj se jo kiran ka naata

Pehali baar tujhe dekha toh hum aise sudh budh bhule
ho jaise saawan ki pehali purwaayi dharati ko chume
dharati se jo nil gagan ka, saawan se purwaayi ka
suraj se jo kiran ka naata, saagar se jo leharon ka
wohi hai tera mera rishta, tu jaane ya naa jaane
suraj se jo kiran ka naata

do din ki dekha dekhi mein yug yug ke manmeet mile
tum bole do bol ke mujhako janam janam ke geet mile
taar se do jhankaar ka naata, geeton se jo sargam ka
suraj se jo kiran ka naata, saagar se jo leharon ka
wohi hai tera mera rishta, tu jaane ya naa jaane
suraj se jo kiran ka naata hmm hmm mm mm mm

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Mukesh

Autres artistes de Film score