Bhadaas
[Verse 1]
Aajao aaj krne wala hoon main thori baat cheet
Tahammul se sunen sab come and take a seat
Hota boht asaan kisi pe krdena baat
Beshak na ho khabar iske kese thay halaat
Kari struggle thi mainay mere baap ki koi mill nahi
Ups nahi downs thay par haara main will nahi
Mehnat k balbootay pe izzat kamai
Par ab bhi kafi loag rakhte seenay mein dil nahi
Jo bakk dete kuch bhi bina kuch sochay
Wo meri kaamyabi dekh ke khud ko hein nochtay
Kostay khoob phir dhoondte bahaane
Zehen pe den zore isay konse den taane
Do taane mujhe main toh tumse anjaan
Phir bolunga main nahi bolega mera kaam
Mera kaam dekhеn jalne waale hue parеshan
Yaad rakhle zehen mein ye naam SAAD KHAN
[Hook]
Mere dil ki Bhadaas mainay aaj hai nikaalni
Koi bakwaas is dil mein na paalni
Lagti na khaas jisay usne toh taalni
Tu rokega mujhe kaam aana koi jaal nahi
(x2)
[Verse 2]
Aik time tha jab judge kiya karte thay sab
Tab dil mein umeed thi k badle ga waqt
Thora sa jo mila hate, hojata demotivate
Par chahne waale ziada toh wo hate hojata fade
Chahne walon ki support se hoon rehta motivated
Jab milta itna pyar then it feel like i made it
Din raat ki mehnat, time invest kiya
Chorh diya rest is kadar obsessed
Sultan phenke beat aur main likhta mann ki baaten
In baaton k peechay hoon jaaga kitni raaten
Tabhi loagon ka pyar karta hoon receive
Manzilen aani hein bohat bara kuch karna achieve
Tha naseeb ko zaleel kiya mainay zawal mein
Kusoor mera tha k raha main us haal mein
Sawal ye, kamzore kyun jab mazboot zameer
Aj torh dali mainay burai ki zanjeer
[Hook]
Mere dil ki Bhadaas mainay aaj hai nikaalni
Koi bakwaas is dil mein na paalni
Lagti na khaas jisay usne toh taalni
Tu rokega mujhe kaam aana koi jaal nahi
(x2)