Mehfil

Saad Khan

[Chorus]
Likkhdoon zindagi pe khaake main
Ik baari mehfil mein toh zara jani aakay dekh
Aakay dekh, kitne ghum is dil mein
Aakay dekh zara meri mehfil mein

Likkhdoon zindagi pe khaake main
Ik baari mehfil mein toh zara jani aakay dekh
Aakay dekh, kitne ghum is dil mein
Aakay dekh zara meri mehfil mein

[Verse 1]
Filmein nahi karata, jhoot is qallam se likkha nahi jata
Khoobsurti lafzon ki dekh sachai itni k ab saha nahi jata
Wo ghum, wo guzre pal jab aajaate saamne murhke
Chakna choor ye dil, kese samaitun is dil k tukrhay

Mukhrhay 2 har shakhs k
Aey zindagi mujhe tu baksh de
Maardoon apni aarzu
Chupa loon ye apne aansu

Har rishta khot se bhara
Aur bana main dost bura
Main sab ki soch mein parha
Aur khud se mu ye murha

Ab bheega tanhai k badal main
Ab apnon k liye bhi pagal main
Ab lagta k main hi kum aqal
Achaiyan meri ab ban gayeen hein hamakaten

Aap fikar na karen hamari
Hum tairna seekhay doob k
Hum karhway sach mein khush
Na rehna hai saaye mein meethay jhoot k

[Chorus]
Likkhdoon zindagi pe khaake main
Ik baari mehfil mein toh zara jani aakay dekh
Aakay dekh, kitne ghum is dil mein
Aakay dekh zara meri mehfil mein

Likkhdoon zindagi pe khaake main
Ik baari mehfil mein toh zara jani aakay dekh
Aakay dekh, kitne ghum is dil mein
Aakay dekh zara meri mehfil mein

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Saad Khan

Autres artistes de