Aisi Hai Hawa
Wohi tum aur hum wohi hum hain,
Faansle bas ab zara kum hain,
Pal pal pukaarein jo woh dhadkane bhi hain,
Lahron pe chalte kadam hain,
Manzil ki fikr bhi kum hai,
Beparvah ho ke hum sang chal chalein,
Aisi hai hawa yahaan, ke hum bhi khud ko kho ke beh gaye,
Aisi hai hawa yahaan, ke hum bhi khud ko kho ke beh gaye...
Behke behke hum behke, behke hum aise,
Do baadal ghul jaayein ik dooje mein jaise,
Amber se phir dekhein hum satrangi kirne,
Mann ho to boondein ban ke, jum ke barsein,
Aisi hai hawa yahaan, ke hum bhi khud ko kho ke beh gaye,
Aisi hai hawa, yahaan, ke hum bhi khud ko kho ke beh gaye...
Wohi tum aur hum wohi hum hain,
Na hi darr aur na koi ghum hai,
Ummeedon ki raahon mein roshni bhi hai,
Wohi tum aur hum wohi hum hain,
Faasley bas ab zara kam hain,
Naye naye nazaaron se, nayi dhadkane hain,
Aisi hai hawa yahaan, ke hum bhi khud ko kho ke beh gaye,
Aisi hai hawa, yahaan, ke hum bhi khud ko kho ke beh gaye