Chura Liya

Chura liya hai tumne jo dil ko
Nazar nahin churaana sanam
Badalke meri tum zindagaani
Kahin badal na jaana sanam
Oh, le liya dil, oh haai mera dil
Haai dil lekar mujhko na behlaana
Chura liya hai tumne jo dil ko
Nazar nahin churaana sanam
Badalke meri tum zindagaani
Kahin badal na jaana sanam
(Bahaar banke aaoon kabhi tumhaari duniya mein
Guzar na jaaye yeh din kahin isi tamanna mein) - 2
Tum mere ho, ho tum mere ho
Aaj tum itna vaada karte jaana
Chura liya
Chura liya hai tumne jo dil ko
Nazar nahin churaana sanam
Badalke meri tum zindagaani
Kahin badal na jaana sanam

Ho, sajaaoonga lutkar bhi tere badan ki daali ko
Lahoo jigar ka doonga haseen labon ki laali ko
Sajaaoonga lutkar bhi tere badan ki daali ko
Lahoo jigar ka doonga haseen labon ki laali ko
Hai vafa kya is jahaan ko
Ek din dikhla doonga main deewana
Chura liya
Chura liya hai tumne jo dil ko
Nazar nahin churaana sanam
Badalke meri tum zindagaani
Kahin badal na jaana sanam
Le liya dil, haai mera dil
Haai dil lekar mujhko na behlaana
Chura liya hai tumne jo dil ko
Nazar nahin churaana sanam
Hm hm hm hm, hm hm hm hm - 2

Chansons les plus populaires [artist_preposition] Bally Sagoo

Autres artistes de Oriental music